Lu Ke Mausam Mein Bahaaron Ki Hawa Mangte Hain

lu ke mausam mein bahaaron ki hawa mangte hain

hum kaf-e-dast-e-KHizan par bhi hina mangte hain

ham-nashin sada-dili-ha-e-tamanna mat puchh

be-wafaon se wafaon ka sila mangte hain

kash kar lete kabhi kaba-e-dil ka bhi tawaf

wo jo patthar ke makanon se KHuda mangte hain

jis mein ho satwat-e-shahin ki parwaz ka rang

lab-e-shair se wo bulbul ki nawa mangte hain

taki duniya pe khule un ka fareb-e-insaf

be-KHata ho ke KHataon ki saza mangte hain

tirgi jitni baDhe husn ho afzun tera

kahkashan mang mein mathe pe ziya mangte hain

ye hai waraftagi-e-shauq ka aalam 'sardar'

barish-e-sang hai aur baad-e-saba mangte hain

(847) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lu Ke Mausam Mein Bahaaron Ki Hawa Mangte Hain In English By Famous Poet Ali Sardar Jafri. Lu Ke Mausam Mein Bahaaron Ki Hawa Mangte Hain is written by Ali Sardar Jafri. Read famous Poem Lu Ke Mausam Mein Bahaaron Ki Hawa Mangte Hain for youth and Student by Ali Sardar Jafri. Free Download Lu Ke Mausam Mein Bahaaron Ki Hawa Mangte Hain in PDF.