Main Jahan Tumko Bulata Hun Wahan Tak Aao

main jahan tum ko bulata hun wahan tak aao

meri nazron se guzar kar dil-o-jaan tak aao

phir ye dekho ki zamane ki hawa hai kaisi

sath mere mere firdaus-e-jawan tak aao

hausla ho to uDo mere tasawwur ki tarah

meri taKHil ke gulzar-e-jinan tak aao

tegh ki tarah chalo chhoD ke aaghosh-e-niyam

tir ki tarah se aaghosh-e-kaman tak aao

phul ke gird phiro bagh mein manind-e-nasim

misl-e-parwana kisi sham-e-tapan tak aao

lo wo sadiyon ke jahannam ki haden KHatm huin

ab hai firdaus hi firdaus jahan tak aao

chhoD kar wahm-o-guman husn-e-yaqin tak pahuncho

par yaqin se bhi kabhi wahm-o-guman tak aao

isi duniya mein dikha den tumhein jannat ki bahaar

shaiKH-ji tum bhi zara ku-e-butan tak aao

(989) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Jahan Tumko Bulata Hun Wahan Tak Aao In English By Famous Poet Ali Sardar Jafri. Main Jahan Tumko Bulata Hun Wahan Tak Aao is written by Ali Sardar Jafri. Read famous Poem Main Jahan Tumko Bulata Hun Wahan Tak Aao for youth and Student by Ali Sardar Jafri. Free Download Main Jahan Tumko Bulata Hun Wahan Tak Aao in PDF.