Mausam-e-rang Bhi Hai Fasl-e-KHizan Bhi Tari

mausam-e-rang bhi hai fasl-e-KHizan bhi tari

dekhna KHun ke dhabbe hain ki hai gul-kari

us se har tarah se tazlil-e-bashar hoti hai

bais-e-faKHr nahin muflisi-o-na-dari

inqilabi ho to hai faqr bhi tauqir-e-hayat

warna hai aajizi-o-be-kasi-o-ayyari

shoala-e-gul ki baDha deti hai lau-e-baad-e-bahaar

tah-e-shabnam bhi dahak uThti hai ek chingari

lamha lamha hai ki hai qafila-e-manzil-e-nur

sarhad-e-shab mein bhi farman-e-sahar hai jari

tegh-o-KHanjar ko ata karte hain lafzon ki niyam

zulm ki karte hain jab ahl-e-sitam tayyari

harf-e-'sardar' mein poshida hain asrar-e-hayat

sher-e-'sardar' mein hai sarkashi-o-sar-shaari

sher-e-'sardar' mein hai shoala-e-be-bak ka rang

harf-e-'sardar' mein haq-goi-o-KHush-guftari

(853) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mausam-e-rang Bhi Hai Fasl-e-KHizan Bhi Tari In English By Famous Poet Ali Sardar Jafri. Mausam-e-rang Bhi Hai Fasl-e-KHizan Bhi Tari is written by Ali Sardar Jafri. Read famous Poem Mausam-e-rang Bhi Hai Fasl-e-KHizan Bhi Tari for youth and Student by Ali Sardar Jafri. Free Download Mausam-e-rang Bhi Hai Fasl-e-KHizan Bhi Tari in PDF.