Naghma-e-zanjir Hai Aur Shahr-e-yaran In Dinon

naghma-e-zanjir hai aur shahr-e-yaran in dinon

hai bahut ahl-e-junun shor-e-bahaaran in dinon

us wafa-dushman se paiman-e-wafa hai ustuwar

zer-e-sang-e-saKHt hai phir dast-e-yaran in dinon

mohtasib bhi halqa-e-rindan ka hai ummid-war

kam na ho jae waqar-e-mai-gusaran in dinon

tezi-e-tegh-e-ada ki shohraten hain dur dur

hai bahut aabaad ku-e-dil-figaran in dinon

dosto pairahan-e-jaan KHun-e-dil se surKH-tar

baDh gaya hai iltifat-e-gul-ezaran in dinon

ahl-e-dil par barish-e-lutf-e-nigah-e-dil-nawaz

mehrban hai ishq par chashm-e-nigaran in dinon

hai gada-e-mai-kada ke sar pe taj-e-khusrawi

kuza-gar ki gil hai KHak-e-shahr-e-yaran in dinon

kya ajab ishrat-kadon par bijliyan girne lagin

hai bahut sarkash nigah-e-sogwaran in dinon

(784) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Naghma-e-zanjir Hai Aur Shahr-e-yaran In Dinon In English By Famous Poet Ali Sardar Jafri. Naghma-e-zanjir Hai Aur Shahr-e-yaran In Dinon is written by Ali Sardar Jafri. Read famous Poem Naghma-e-zanjir Hai Aur Shahr-e-yaran In Dinon for youth and Student by Ali Sardar Jafri. Free Download Naghma-e-zanjir Hai Aur Shahr-e-yaran In Dinon in PDF.