Sard Hain Dil Aatish-e-ru-e-nigaran Chahiye

sard hain dil aatish-e-ru-e-nigaran chahiye

shoala-rang-e-bahaar-e-gul-ezaran chahiye

manzil-e-ishq-o-junun ke fasle hain sar-ba-kaf

in kaThin rahon mein lutf-e-dast-e-yaran chahiye

kaT rahi hai aur kaT chukti nahin fasl-e-KHizan

tez-tar ek aur tegh-e-nau-bahaaran chahiye

aaj mai-KHane mein sehr-e-chashm-e-saqi ke liye

iltifat-e-chashm mast-e-mai-gusaran chahiye

is dil-e-wahshi ki aazadi ka kya kije ilaj

ek kamand-e-gesu-e-yazdan-shikaran chahiye

naghma ban jata hai nala un ki bazm-e-naz mein

un ko KHush rakhne ko shor-e-sogwaran chahiye

aasmanon se baraste hain zamin par regzar

aaj phir 'sardar' raqs-e-barq-o-baran chahiye

(783) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sard Hain Dil Aatish-e-ru-e-nigaran Chahiye In English By Famous Poet Ali Sardar Jafri. Sard Hain Dil Aatish-e-ru-e-nigaran Chahiye is written by Ali Sardar Jafri. Read famous Poem Sard Hain Dil Aatish-e-ru-e-nigaran Chahiye for youth and Student by Ali Sardar Jafri. Free Download Sard Hain Dil Aatish-e-ru-e-nigaran Chahiye in PDF.