Shabon Ki Zulf Ki Ru-e-sahar Ki KHair Manao

shabon ki zulf ki ru-e-sahar ki KHair manao

nigar-e-shams urus-e-qamar ki KHair manao

sipah-e-dushman-e-insaniyat qarib aai

dayar-e-husn sar-e-rahguzar ki KHair manao

abhi to auron ke diwar-o-dar pe yurish thi

ab apne saya-e-diwar-o-dar ki KHair manao

chali hai aatish-o-ahan ke dil se baad-e-sumum

chaman ke jalwa-e-gul-ha-e-tar ki KHair manao

guzar na jae kahin bahr-o-bar se KHun ki dhaar

farogh-e-shabnam-o-ab-o-guhar ki KHair manao

ye nafa-KHoron ki danish-farosh duniya hai

mata-e-ilm ki jins-e-hunar ki KHair manao

mere liye hai meri muflisi-o-napaki

tum apni paki-e-qalb-o-nazar ki KHair manao

(723) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shabon Ki Zulf Ki Ru-e-sahar Ki KHair Manao In English By Famous Poet Ali Sardar Jafri. Shabon Ki Zulf Ki Ru-e-sahar Ki KHair Manao is written by Ali Sardar Jafri. Read famous Poem Shabon Ki Zulf Ki Ru-e-sahar Ki KHair Manao for youth and Student by Ali Sardar Jafri. Free Download Shabon Ki Zulf Ki Ru-e-sahar Ki KHair Manao in PDF.