Shaikast-e-shauq Ko Takmil-e-arzu Kahiye

shaikast-e-shauq ko takmil-e-arzu kahiye

jo tishnagi ho to paimana-o-subu kahiye

KHayal-e-yar ko dijiye visal-e-yar ka nam

shab-e-firaq ko gaisu-e-mushk-bu kahiye

charagh-e-anjuman-e-hairat-e-nazara the

wo lala-ru jinhen ab dagh-e-arzu kahiye

mahak rahi hai ghazal zikr-e-zulf-e-KHuban se

nasim-e-subh ki manind ku-ba-ku kahiye

shikayaten bhi bahut hain hikayaten bhi bahut

maza to jab hai ki yaron ke ru-ba-ru kahiye

ba-hukm kijiye phir KHanjaron ki dildari

dahan-e-zaKHm se afsana-e-gulu kahiye

(982) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shaikast-e-shauq Ko Takmil-e-arzu Kahiye In English By Famous Poet Ali Sardar Jafri. Shaikast-e-shauq Ko Takmil-e-arzu Kahiye is written by Ali Sardar Jafri. Read famous Poem Shaikast-e-shauq Ko Takmil-e-arzu Kahiye for youth and Student by Ali Sardar Jafri. Free Download Shaikast-e-shauq Ko Takmil-e-arzu Kahiye in PDF.