ShaKH-e-gul Hai Ki Ye Talwar Khinchi Hai Yaro

shaKH-e-gul hai ki ye talwar khinchi hai yaro

bagh mein kaisi hawa aaj chali hai yaro

kaun hai KHauf-zada jashn-e-sahar se puchho

raat ki nabz to ab chhuT chali hai yaro

tak ke dil se dil-e-shisha-o-paimana tak

ek ek bund mein sau shama jali hai yaro

chum lena lab-e-lalin ka hai rindon ko rawa

rasm ye baada-e-gul-gun se chali hai yaro

sirf ek ghuncha se sharminda hai aalam ki bahaar

dil-e-KHun-gashta ke honTon pe hansi hai yaro

wo jo angur ke KHoshon mein thi manind-e-nujum

Dhal ke ab jam mein KHurshid bani hai yaro

bu-e-KHun aati hai milta hai bahaaron ka suragh

jaane kis shoKH sitamgar ki gali hai yaro

ye zamin jis se hai hum KHak-nashinon ka uruj

ye zamin chand sitaron mein ghiri hai yaro

jura-e-talKH bhi hai jam-gawara bhi hai

zindagi jashn-gah-e-baada-kashi hai yaro

(980) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

ShaKH-e-gul Hai Ki Ye Talwar Khinchi Hai Yaro In English By Famous Poet Ali Sardar Jafri. ShaKH-e-gul Hai Ki Ye Talwar Khinchi Hai Yaro is written by Ali Sardar Jafri. Read famous Poem ShaKH-e-gul Hai Ki Ye Talwar Khinchi Hai Yaro for youth and Student by Ali Sardar Jafri. Free Download ShaKH-e-gul Hai Ki Ye Talwar Khinchi Hai Yaro in PDF.