Shama Ka Mai Ka Shafaq-zar Ka Gulzar Ka Rang

shama ka mai ka shafaq-zar ka gulzar ka rang

sab hain aur sab se juda hai lab-e-didar ka rang

aks-e-saqi se chamak uTThi hai saghar ki jabin

aur kuchh tez hua baada-e-gulnar ka rang

shaiKH mein himmat-e-rindan-e-qadah-KHwar kahan

ek hi jam mein aashufta hai dastar ka rang

un ke aane ko chhupaun to chhupaun kyun kar

badla badla sa hai mere dar-o-diwar ka rang

shafaq-e-subh-e-shahadat se hai tabinda jabin

warna aaluda-e-KHun tha ufuq-e-dar ka rang

aaftabon ki tarah jagi hai insan ki jot

jagmagata hai sira parda-e-asrar ka rang

waqt ki ruh munawwar hai nawa se meri

asr-e-nau mein hai meri shoKHi-e-afkar ka rang

(849) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shama Ka Mai Ka Shafaq-zar Ka Gulzar Ka Rang In English By Famous Poet Ali Sardar Jafri. Shama Ka Mai Ka Shafaq-zar Ka Gulzar Ka Rang is written by Ali Sardar Jafri. Read famous Poem Shama Ka Mai Ka Shafaq-zar Ka Gulzar Ka Rang for youth and Student by Ali Sardar Jafri. Free Download Shama Ka Mai Ka Shafaq-zar Ka Gulzar Ka Rang in PDF.