Sitaron Ke Payam Aae Bahaaron Ke Salam Aae

sitaron ke payam aae bahaaron ke salam aae

hazaron nama-ha-e-shauq ahl-e-dil ke kaam aae

na jaane kitni nazren us dil-e-wahshi pe paDti hain

har ek ko fikr hai us ki ye shahin zer-e-dam aae

isi ummid mein betabi-e-jaan baDhti jati hai

sukun-e-dil jahan mumkin ho shayad wo maqam aae

hamari tishnagi bujhti nahin shabnam ke qatron se

jise saqi-gari ki sharm ho aatish-ba-jam aae

koi shayad hamare dagh-e-dil ki tarah raushan ho

hazaron aaftab is shauq mein baala-e-baam aae

inhen rahon mein shaiKH-o-muhtasib hail rahe akasr

inhen rahon mein huran-e-bahishti ke KHiyam aae

nigahen muntazir hain ek KHurshid-e-tamanna ki

abhi tak jitne mehr-o-mah aae na-tamam aae

ye aalam lazzat-e-taKHliq ka hai raqs-e-lafani

tasawwur-KHana-e-hairat mein lakhon subh-o-sham aae

koi 'sardar' kab tha is se pahle teri mahfil mein

bahut ahl-e-suKHan uTThe bahut ahl-e-kalam aae

(869) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sitaron Ke Payam Aae Bahaaron Ke Salam Aae In English By Famous Poet Ali Sardar Jafri. Sitaron Ke Payam Aae Bahaaron Ke Salam Aae is written by Ali Sardar Jafri. Read famous Poem Sitaron Ke Payam Aae Bahaaron Ke Salam Aae for youth and Student by Ali Sardar Jafri. Free Download Sitaron Ke Payam Aae Bahaaron Ke Salam Aae in PDF.