Subh Har Ujale Pe Raat Ka Guman Kyun Hai

subh har ujale pe raat ka guman kyun hai

jal rahi hai kya dharti arsh pe dhuan kyun hai

KHanjaron ki sazish par kab talak ye KHamoshi

ruh kyun hai yaKH-basta naghma be-zaban kyun hai

rasta nahin chalte sirf KHak uDate hain

karwan se bhi aage gard-e-karwan kyun hai

kuchh kami nahin lekin koi kuchh to batlao

ishq is sitamgar ka shauq ka ziyan kyun hai

hum to ghar se nikle the jitne ko dil sab ka

tegh hath mein kyun hai dosh par kaman kyun hai

ye hai bazm-e-mai-noshi is mein sab barabar hain

phir hisab-e-saqi mein sud kyun ziyan kyun hai

den kis nigah ki hai kin labon ki barakat hai

tum mein 'jafari' itni shoKHi-e-bayan kyun hai

(991) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Subh Har Ujale Pe Raat Ka Guman Kyun Hai In English By Famous Poet Ali Sardar Jafri. Subh Har Ujale Pe Raat Ka Guman Kyun Hai is written by Ali Sardar Jafri. Read famous Poem Subh Har Ujale Pe Raat Ka Guman Kyun Hai for youth and Student by Ali Sardar Jafri. Free Download Subh Har Ujale Pe Raat Ka Guman Kyun Hai in PDF.