TaKHliq Pe Fitrat Ki Guzarta Hai Guman Aur

taKHliq pe fitrat ki guzarta hai guman aur

is aadam-e-KHaki ne banaya hai jahan aur

ye subh hai suraj ki siyahi se andheri

aaegi abhi ek sahar mahr-chakan aur

baDhni hai abhi aur bhi mazlum ki taqat

ghaTni hai abhi zulm ki kuchh tab-o-tawan aur

tar hogi zamin aur abhi KHun-e-bashar se

roega abhi dida-e-KHunaba-fiashan aur

baDhne do zara aur abhi kuchh dast-e-talab ko

baDh jaegi do chaar shikan-e-zulf-e-butan aur

karna hai abhi KHun-e-jigar sarf-e-bahaaran

kuchh der uThana hai abhi naz-e-KHizan aur

hum hain wo bala-kash ki masaib se jahan ke

ho jate hain shaista-e-gham-ha-e-jahan aur

(672) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

TaKHliq Pe Fitrat Ki Guzarta Hai Guman Aur In English By Famous Poet Ali Sardar Jafri. TaKHliq Pe Fitrat Ki Guzarta Hai Guman Aur is written by Ali Sardar Jafri. Read famous Poem TaKHliq Pe Fitrat Ki Guzarta Hai Guman Aur for youth and Student by Ali Sardar Jafri. Free Download TaKHliq Pe Fitrat Ki Guzarta Hai Guman Aur in PDF.