Tumhaare Eajaz-e-husn Ki Mere Dil Pe Lakhon Inayaten Hain

tumhaare eajaz-e-husn ki mere dil pe lakhon inayaten hain

tumhaari hi den mere zauq-e-nazar ki sari latafaten hain

jawan hai suraj jabin pe jis ke tumhaare mathe ki raushni hai

sahar hasin hai ki us ke ruKH par tumhaare ruKH ki sabahaten hain

main jin bahaaron ki parwarish kar raha hun zindan-e-gham mein hamdam

kisi ke gesu-o-chashm-o-ruKHsar-o-lab ki rangin hikayaten hain

na jaane chhalkae jam kitne na jaane kitne subu uchhaale

magar meri tishnagi ki ab bhi teri nazar se shikayaten hain

main apni aankhon mein sail-e-ashk-e-rawan nahin bijliyan liye hun

jo sar-buland aur ghayur hain ahl-e-gham ye un ki riwayaten hain

main raat ki god mein sitare nahin sharare bikherta hun

sahar ke dil mein jo apne ashkon se bo raha hun baghawaten hain

ye shairi-e-nau ki paighambari zamane ki dawari hai

labon pe mere sahifa-e-inqilab ki surKH aayaten hain

(729) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tumhaare Eajaz-e-husn Ki Mere Dil Pe Lakhon Inayaten Hain In English By Famous Poet Ali Sardar Jafri. Tumhaare Eajaz-e-husn Ki Mere Dil Pe Lakhon Inayaten Hain is written by Ali Sardar Jafri. Read famous Poem Tumhaare Eajaz-e-husn Ki Mere Dil Pe Lakhon Inayaten Hain for youth and Student by Ali Sardar Jafri. Free Download Tumhaare Eajaz-e-husn Ki Mere Dil Pe Lakhon Inayaten Hain in PDF.