Uljhe KanTon Se Ki Khele Gul-e-tar Se Pahle

uljhe kanTon se ki khele gul-e-tar se pahle

fikr ye hai ki saba aae kidhar se pahle

jam-o-paimana-o-saqi ka guman tha lekin

dida-e-tar hi tha yan dida-e-tar se pahle

abr-e-naisan ki na barakat hai na faizan-e-bahaar

qatre gum ho gae tamir-e-guhar se pahle

jam gaya dil mein lahu sukh gae aankhon mein ashk

tham gaya dard-e-jigar rang-e-sahar se pahle

qafile aae to the naron ke parcham le kar

sar-nigun ho gai har aah asar se pahle

KHun-e-sar bah gaya maut aa gai diwanon ko

barish-e-sang se tufan-e-sharar se pahle

surKHi-e-KHun-e-tamanna ki mahak aati hai

dil koi TuTa hai shayad gul-e-tar se pahle

maqtal-e-shauq ke aadab nirale hain bahut

dil bhi qatil ko diya karte hain sar se pahle

(766) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Uljhe KanTon Se Ki Khele Gul-e-tar Se Pahle In English By Famous Poet Ali Sardar Jafri. Uljhe KanTon Se Ki Khele Gul-e-tar Se Pahle is written by Ali Sardar Jafri. Read famous Poem Uljhe KanTon Se Ki Khele Gul-e-tar Se Pahle for youth and Student by Ali Sardar Jafri. Free Download Uljhe KanTon Se Ki Khele Gul-e-tar Se Pahle in PDF.