Wahi Husn-e-yar Mein Hai Wahi Lala-zar Mein Hai

wahi husn-e-yar mein hai wahi lala-zar mein hai

wo jo kaifiyat nashe ki mai-e-KHush-gawar mein hai

ye chaman ki aarzu hai koi luT le chaman ko

ye tamam rang-o-nikhat tere iKHtiyar mein hai

tere hath ki bulandi mein farogh-e-kahkashan hai

ye hujum-e-mah-o-anjum tere intizar mein hai

bas usi ko toDna hai ye junun-e-nafa-KHori

yahi ek sard KHanjar dil-e-rozgar mein hai

abhi zindagi hasin hai abhi zikr-e-maut kaisa

abhi phul khil rahe hain abhi to kanar mein hai

abhi mai-kada jawan hai abhi mauj mein hai saqi

abhi jam raqs mein hai abhi mai bahaar mein hai

yahi mera sher-o-naghma yahi meri fikr-o-hikmat

jo suru-o-dard-mandi dil-e-be-qarar mein hai

(775) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wahi Husn-e-yar Mein Hai Wahi Lala-zar Mein Hai In English By Famous Poet Ali Sardar Jafri. Wahi Husn-e-yar Mein Hai Wahi Lala-zar Mein Hai is written by Ali Sardar Jafri. Read famous Poem Wahi Husn-e-yar Mein Hai Wahi Lala-zar Mein Hai for youth and Student by Ali Sardar Jafri. Free Download Wahi Husn-e-yar Mein Hai Wahi Lala-zar Mein Hai in PDF.