Watan Se Dur Yaran-e-watan Ki Yaad Aati Hai

watan se dur yaran-e-watan ki yaad aati hai

qafas mein ham-nawayan-e-chaman ki yaad aati hai

ye kaisa zulm hai phir saya-e-diwar-e-zindan mein

watan ke saya-e-sarw-o-saman ki yaad aati hai

tasawwur jis se rangin hai taKHayyul jis se raqsan hai

ghazal-e-hind-o-ahu-e-KHutan ki yaad aati hai

kabhi laila-o-shirin gah hir-o-shohni ban kar

nirale yar ki banke sajan ki yaad aati hai

kahan ka KHauf-e-zindan dahshat-e-dar-o-rasan kaisi

qad-e-mashuq-o-zulf-e-pur-shikan ki yaad aati hai

(1094) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Watan Se Dur Yaran-e-watan Ki Yaad Aati Hai In English By Famous Poet Ali Sardar Jafri. Watan Se Dur Yaran-e-watan Ki Yaad Aati Hai is written by Ali Sardar Jafri. Read famous Poem Watan Se Dur Yaran-e-watan Ki Yaad Aati Hai for youth and Student by Ali Sardar Jafri. Free Download Watan Se Dur Yaran-e-watan Ki Yaad Aati Hai in PDF.