Wo Meri Dost Wo Hamdard Wo Gham-KHwar Aankhen

wo meri dost wo hamdard wo gham-KHwar aankhen

ek masum mohabbat ki gunahgar aankhen

shoKH-o-shadab-o-hasin sada-o-purkar aankhen

mast-o-sarshaar-o-jawan be-KHud-o-hoshiyar aankhen

tirchhi nazron mein wo uljhi hui suraj ki kiran

apne duzdida ishaaron mein giraftar aankhen

jumbish-e-abru-o-mizhgan kai KHunuk sae mein

aatish-afroz junun-KHez sharar-bar aankhen

kaifiyat dil ki sunati hui ek ek nigah

be-zaban ho ke bhi wo mail-e-guftar aankhen

mausam-e-gul mein wo uDte hue bhaunron ki tarah

ghuncha-e-dil pe wo karti hui yalghaar aankhen

kabhi chhalki hui sharbat ke kaToron ki tarah

aur kabhi zahr mein Dubi hui talwar aankhen

kabhi Thahri hui yaKH-basta ghamon ki jhilen

kabhi sahma hua simTa hua ek pyar aankhen

kabhi jhukte hue baadal kabhi girti bijli

kabhi uThti hui aamada-e-paikar aankhen

nok-e-abru mein kabhi talKHi-e-inkar liye

kabhi ghole hue shirini-e-iqrar aankhen

aanch mein apni jawani ki sulagti chitwan

shabnam-e-ashk mein dhoi hui gulnar aankhen

husn ke chand se mukhDe pe chamakte tare

hae aankhen wo harif-e-lab-o-ruKHsar aankhen

ishwa-o-ghamza-o-andaz-o-ada par nazan

apne pindar-e-jawani ki parastar aankhen

ruh ko rog mohabbat ka laga deti hain

sehat-e-dil jo ata karti hain bimar aankhen

sehn-e-zindan mein hai phir raat ke taron ka hujum

shama ki tarah farozan sar-e-diwar aankhen

(1683) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Meri Dost Wo Hamdard Wo Gham-KHwar Aankhen In English By Famous Poet Ali Sardar Jafri. Wo Meri Dost Wo Hamdard Wo Gham-KHwar Aankhen is written by Ali Sardar Jafri. Read famous Poem Wo Meri Dost Wo Hamdard Wo Gham-KHwar Aankhen for youth and Student by Ali Sardar Jafri. Free Download Wo Meri Dost Wo Hamdard Wo Gham-KHwar Aankhen in PDF.