Fareb

(1)

na-gahan shor hua

lo shab-e-tar-e-ghulami ki sahar aa pahunchi

ungliyan jag uThin

barbat o taus ne angDai li

aur mutrib ki hatheli se shuaen phuTin

khil gae saz mein naghmon ke mahakte hue phul

log chillae ki fariyaad ke din bit gae

rahzan haar gae

rah-rau jit gae

qafile dur the manzil se bahut dur magar

KHud-farebi ki ghani chhanw mein dam lene lage

chun liya rah ke rezon ko KHazaf-rezon ko

aur samajh baiThe ki bas lal-o-jawahar hain yahi

rahzan hansne lage chhup ke kamin-gahon mein

ham-nashin ye tha farangi ki firasat ka tilism

rahbar-e-qaum ki nakara qayaadat ka fareb

hum ne aazurdagi-e-shauq ko manzil jaana

apni hi gard-e-sar-e-rah ko mahmil jaana

gardish-e-halqa-e-gardab ko sahil jaana

ab jidhar dekho udhar maut hi manDlati hai

dar-o-diwar se rone ki sada aati hai

KHwab zaKHmi hain umangon ke kaleje chhalni

mere daman mein hain zaKHmon ke dahakte hue phul

KHun mein luThDe hue phul

main jinhen kucha-o-bazar se chun laya hun

qaum ke rahbaro rahzanon

apne aiwan-e-hukumat mein saja lo in ko

apne guldan-e-siyasat mein laga lo in ko

apni sad-sala tamannaon ka hasil hai yahi

mauj-e-payab ka sahil hai yahi

tum ne firdaus ke badle mein jahannam le kar

kah diya hum se gulistan mein bahaar aai hai

chand sikkon ke ewaz chand milon ki KHatir

tum ne namus-e-shahidan-e-watan bech diya

baghban ban ke uThe aur chaman bich diya

(2)

kaun aazad hua?

kis ke mathe se siyahi chhuTi

mere sine mein abhi dard hai mahkumi ka

mother-e-hind ke chehre pe udasi hai wahi

KHanjar aazad hain sinon mein utarne ke liye

maut aazad hai lashon pe guzarne ke liye

chor-bazaron mein bad-shakl chuDailon ki tarah

qimaten kali dukanon pe khaDi rahti hain

har KHaridar ki jebon ko katarne ke liye

kar-KHanon pe laga rahta hai

sans leti hui lashon ka hujum

bich mein un ke phira karti hai bekari bhi

apna KHunKHar dahan khole hue

aur sone ke chamakte sikke

Dank uThae hue phan phailae

ruh aur dil pe chala karte hain

mulk aur qaum ko din raat Dasa karte hain

roTiyan chaklon ki qahbaen hain

jin ko sarmaya ke dallalon ne

nafa-KHori ke jharokon mein saja rakha hai

baaliyan dhan ki gehun ke sunahre KHoshe

misr o yunan ke majbur ghulamon ki tarah

ajnabi des ke bazaron mein bik jate hain

aur bad-baKHt kisanon ki bilakti hui ruh

apne aflas mein munh Dhanp ke so jati hai

hum kahan jaen kahen kis se ki nadar hain hum

kis ko samjhaen ghulami ke gunahgar hain hum

tauq KHud hum ne pahna rakkha hai armanon ko

apne sine mein jakaD rakkha tufanon ko

ab bhi zindan-e-ghulami se nikal sakte hain

apni taqdir ko hum aap badal sakte hain

(3)

aaj phir hoti hain zaKHmon se zabanen paida

tira-o-tar fazaon se barsata hai lahu

rah ki gard ke niche se ubharte hain qadam

tare aakash pe kamzor hababon ki tarah

shab ke sailab-e-siyahi mein bahe jate hain

phuTne wali hai mazdur ke mathe se kiran

surKH parcham ufuq-e-subh pe lahraate hain

(1840) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Fareb In English By Famous Poet Ali Sardar Jafri. Fareb is written by Ali Sardar Jafri. Read famous Poem Fareb for youth and Student by Ali Sardar Jafri. Free Download Fareb in PDF.