Guftugu (Hind Pak Dosti Ke Nam)

guftugu band na ho

baat se baat chale

subh tak sham-e-mulaqat chale

hum pe hansti hui ye taron bhari raat chale

hon jo alfaz ke hathon mein hain sang-e-dushnam

tanz chhalkae to chhalkaya kare zahr ke jam

tikhi nazren hon tursh abru-e-KHamdar rahen

ban paDe jaise bhi dil sinon mein bedar rahen

bebasi harf ko zanjir-ba-pa kar na sake

koi qatil ho magar qatl-e-nawa kar na sake

subh tak Dhal ke koi harf-e-wafa aaega

ishq aaega ba-sad laghzish-e-pa aaega

nazren jhuk jaengi dil dhaDkeenge lab kanpenge

KHamushi bosa-e-lab ban ke mahak jaegi

sirf ghunchon ke chaTakne ki sada aaegi

aur phir harf-o-nawa ki na zarurat hogi

chashm o abru ke ishaaron mein mohabbat hogi

nafrat uTh jaegi mehman murawwat hogi

hath mein hath liye sara jahan sath liye

tohfa-e-dard liye pyar ki saughat liye

regzaron se adawat ke guzar jaenge

KHun ke dariyaon se hum par utar jaenge

guftugu band na ho

baat se baat chale

subh tak sham-e-mulaqat chale

hum pe hansti hui ye taron bhari raat chale

(1430) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Guftugu (Hind Pak Dosti Ke Nam) In English By Famous Poet Ali Sardar Jafri. Guftugu (Hind Pak Dosti Ke Nam) is written by Ali Sardar Jafri. Read famous Poem Guftugu (Hind Pak Dosti Ke Nam) for youth and Student by Ali Sardar Jafri. Free Download Guftugu (Hind Pak Dosti Ke Nam) in PDF.