Pyas Ki Aag

main ki hun pyas ke dariya ki taDapti hui mauj

pi chuka hun main samundar ka samundar phir bhi

ek ek qatra-e-shabnam ko taras jata hun

qatra-e-shabnam-e-ashk

qatra-e-shabnam-e-dil KHun-e-jigar

qatra-e-nim-nazar

ya mulaqat ke lamhon ke sunahri qatre

jo nigahon ki hararat se Tapak paDte hain

aur phir lams ke nur

aur phir baat ki KHushbu mein badal jate hain

mujh ko ye qatra-e-shadab bhi chakh lene do

dil mein ye gauhar-e-nayab bhi rakh lene do

KHushk hain honT mere KHushk zaban hai meri

KHushk hai dard ka, naghme ka gulu

main agar pi na saka waqt ka ye aab-e-hayat

pyas ki aag mein Darta hun ki jal jaunga

(745) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pyas Ki Aag In English By Famous Poet Ali Sardar Jafri. Pyas Ki Aag is written by Ali Sardar Jafri. Read famous Poem Pyas Ki Aag for youth and Student by Ali Sardar Jafri. Free Download Pyas Ki Aag in PDF.