Qatl-e-aftab

shafaq ke rang mein hai qatl-e-aftab ka rang

ufuq ke dil mein hai KHanjar lahu-luhan hai sham

safed shisha-e-nur aur siyah barish-e-sang

zamin se ta-ba-falak hai buland raat ka nam

yaqin ka zikr hi kya hai ki ab guman bhi nahin

maqam-e-dard nahin manzil-e-fughan bhi nahin

wo be-hisi hai ki jo qabil-e-bayan bhi nahin

koi tarang hi baqi rahi na koi umang

jabin-e-shauq nahin sang-e-astan bhi nahin

raqib jit gae KHatm ho chuki hai jang

dilon mein shola-e-gham bujh gaya hai kya kije

koi hasin nahin kis se ab wafa kije

siwae is ke ki qatil hi ko dua dije

magar ye jang nahin wo jo KHatm ho jae

ek intiha hai faqat husn-e-ibtida ke liye

bichhe hain KHar ki guzrenge qafile gul ke

KHamoshi mohr-ba-lab hai kisi sada ke liye

udasiyan hain ye sab naghma-o-nawa ke liye

wo pahna shama ne phir KHun-e-aftab ka taj

sitare le ke uThe nur-e-aftab ke jam

palak palak pe firozan hain aansuon ke charagh

lawen lachakti hain ya bijliyan chamakti hain

tamam pairahan-e-shab mein bhar gae hain sharar

hazar lab se zamin kah rahi hai qissa-e-dard

hazar gosh-e-junun sun rahe hain afsana

chaTak rahi hain kahin tirgi ki diwaren

lachak rahi hain kahin shaKH-e-gul ki talwaren

sanak rahi hai kahin dasht-e-sar-kashi mein hawa

chahak rahi hai kahin bulbul-e-bahaar-nawa

mahak raha hai wafa ke chaman mein dil ka gulab

chhalak rahi hai lab o aariz o nazar ki sharab

jawan KHwabon ke jangal se aa rahi hai nasim

nafas mein nikhat-e-paigham-e-inqalab liye

KHabar hai qafila-e-rang-o-nur niklega

sahar ke dosh pe ek taza aaftab liye

(992) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qatl-e-aftab In English By Famous Poet Ali Sardar Jafri. Qatl-e-aftab is written by Ali Sardar Jafri. Read famous Poem Qatl-e-aftab for youth and Student by Ali Sardar Jafri. Free Download Qatl-e-aftab in PDF.