Tum Nahin Aae The Jab

tum nahin aae the jab tab bhi to maujud the tum

aankh mein nur ki aur dil mein lahu ki surat

dard ki lau ki tarah pyar ki KHushbu ki tarah

bewafa wadon ki dildari ka andaz liye

tum nahin aae the jab tab bhi to tum aae the

raat ke sine mein mahtab ke KHanjar ki tarah

subh ke hath mein KHurshid ke saghar ki tarah

shaKH-e-KHun-rang-e-tamanna mein gul-e-tar ki tarah

tum nahin aaoge jab tab bhi to tum aaoge

yaad ki tarah dhaDakte hue dil ki surat

gham ke paimana-e-sar-shaar ko chhalkate hue

barg-ha-e-lab-o-ruKHsar ko mahkate hue

dil ke bujhte hue angare ko dahkate hue

zulf-dar-zulf bikhar jaega phir raat ka rang

shab-e-tanhai mein bhi lutf-e-mulaqat ka rang

roz laegi saba ku-e-sabahat se payam

roz gaegi sahar tahniyat-e-jashn-e-firaq

aao aane ki karen baaten ki tum aae ho

ab tum aae ho to main kaun si shai nazr karo

ki mere pas ba-juz mehr o wafa kuchh bhi nahin

ek KHun-gashta tamanna ke siwa kuchh bhi nahin

(1067) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tum Nahin Aae The Jab In English By Famous Poet Ali Sardar Jafri. Tum Nahin Aae The Jab is written by Ali Sardar Jafri. Read famous Poem Tum Nahin Aae The Jab for youth and Student by Ali Sardar Jafri. Free Download Tum Nahin Aae The Jab in PDF.