Tumhaara Shahr

tumhaara shahr tumhaare badan ki KHushbu se

mahak raha tha, har ek baam tum se raushan tha

hawa tumhaari tarah har rawish pe chalti thi

tumhaare honTon se hansti thin narm-lab kaliyan

ata hui thi sahar ko tumhaari sim-tani

mili thi sham o shafaq ko tumhaari gul-badani

tumhaara nam tasawwur bhi tha, taKHayyul bhi

yaqin bhi, shauq bhi, ummid bhi, tamanna bhi

saji thi zulf-e-jawan aarzu ke phulon se

umid-war the har samt aashiqon ke giroh

magar ye kya hai ki har kucha aaj viran hai

gali gali mein hain faulad-pa siyah ifrit

chaman chaman mein saDi lash ka taffun hai

hawaen garm hain barud ka andhera hai

KHabar nahin ki yahan se kidhar ko jaana hai

tumhaara shahr, tumhaare badan ki KHushbu ko

taras raha hai, har ek baam tira-e-saman hai

na raushni hai, na nikhat, na naghma hai, na nawa

har ek rawish pe hawa chal rahi hai nauha-kunan

sahar ki gul-badani hai lahu ka pairahan

na sham hai na sahar sirf ek siyah kafan

tumhaare shahr ki uryaniyon ko Dhanpta hai

KHabar nahin ki yahan se kidhar ko jaana hai

wo ek julus sa ek moD par nazar aaya

koi azim janaza guzarne wala hai

hawa mein nala-o-fariyaad ki hai kaifiyat

har ek aankh mein aansu, har ek honT pe aah

dilon ka nauha-e-gham siskiyon mein Dhalta hai

wo dard hai ki koi khul ke ro nahin sakta

magar janaza kahin bhi nazar nahin aata

kafan-farosh bhi hain, gorkan bhi hain lekin

koi bata nahin sakta ki kis ki mayyat hai

koi bata nahin sakta kidhar gaya tabut

koi bata nahin sakta kahan hai qabristan

chalo qarib se dekhen ye bad-nasib hain kaun

clerk hain jo abhi daftaron se nikle hain

tamam ek si shaklen hain hindison ki tarah

kisan hain jo abhi ketiyon se palTe hain

nikal ke aae hain mazdur kar-KHanon se

aur un ki pusht pe afsurda kholiyon ki qatar

suron pe uDte dhuen ke siyah-rang alam

barhana bachchon ke rone ki dardnak sada

julus-e-gham hai janaza ba-dosh chalta hai

magar janaza kidhar hai nazar nahin aata

KHabar nahin ki yahan se kidhar ko jaana hai

(1073) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tumhaara Shahr In English By Famous Poet Ali Sardar Jafri. Tumhaara Shahr is written by Ali Sardar Jafri. Read famous Poem Tumhaara Shahr for youth and Student by Ali Sardar Jafri. Free Download Tumhaara Shahr in PDF.