Kuchh Is Tarah Wo Dua-o-salam Kar Ke Gaya

kuchh is tarah wo dua-o-salam kar ke gaya

meri taraf hi ruKH-e-intiqam kar ke gaya

jahan mein aaya tha insan mohabbaten karne

jo kaam karna nahin tha wo kaam kar ke gaya

asir hote gae ba-dil-e-na-KHwasta log

ghulam karna tha us ne ghulam kar ke gaya

jo dard soe hue the wo ho gae bedar

ye moajaza bhi mera KHush-KHiram kar ke gaya

hai zindagi bhi wahi jo ho dusron ke liye

wo mohtaram hua jo ehtiram kar ke gaya

ye sarzamin hai jalal o jamal o azmat ki

hai KHush-nasib yahan jo qayam kar ke gaya

hai kaun shair-e-KHush-fikr kaun hai fankar

ghazal bataegi is mein nam kar ke gaya

asar hua na hua bazm par 'ali-yasir'

kalam karna tha main ne kalam kar ke gaya

(892) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Is Tarah Wo Dua-o-salam Kar Ke Gaya In English By Famous Poet Ali Yasir. Kuchh Is Tarah Wo Dua-o-salam Kar Ke Gaya is written by Ali Yasir. Read famous Poem Kuchh Is Tarah Wo Dua-o-salam Kar Ke Gaya for youth and Student by Ali Yasir. Free Download Kuchh Is Tarah Wo Dua-o-salam Kar Ke Gaya in PDF.