Baadalon Ke Beach Tha Main Be-sar-o-saman Na Tha

baadalon ke beach tha main be-sar-o-saman na tha

tishnagi ka zahr pi lena koi aasan na tha

kya qayamat-KHez tha dariya mein maujon ka hujum

sahilon tak aate aate phir kahin tufan na tha

jaane kitni dur us ki lahar mujh ko le gai

main samajhta tha ki wo dariya-e-be-payan na tha

har taraf patjhaD ki aawazon ki chadar tan gai

dasht mein meri sada ka jism bhi uryan na tha

is ke rang-o-saut ke jugnu the daman mein 'alim'

kho ke sab kuchh aane wala bhi tahi-daman na tha

(605) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Baadalon Ke Beach Tha Main Be-sar-o-saman Na Tha In English By Famous Poet Alimullah Hali. Baadalon Ke Beach Tha Main Be-sar-o-saman Na Tha is written by Alimullah Hali. Read famous Poem Baadalon Ke Beach Tha Main Be-sar-o-saman Na Tha for youth and Student by Alimullah Hali. Free Download Baadalon Ke Beach Tha Main Be-sar-o-saman Na Tha in PDF.