Piya Ke RuKH Ki Jhalak Ka Partaw Kiya Hai Jhalkar Aaftabi

piya ke ruKH ki jhalak ka partaw kiya hai jhalkar aaftabi

nazar sun aalam ke ho rahi hai misal-e-KHuffash be-hijabi

jise wo chahta hai mukh dikhane usi ko hai tab dekhne ka

wahi samajh baKHsh murshid un ka talab hai tun mang ja shitabi

agar mile tujh ko chashm-e-baatin wahi hai maqsud aaqibat se

wagarna tahqiq-e-do-jahan mein nahin hai hasil ba-juz KHarabi

usi ko kahte hain kor baatin jise nahin haiga did us ka

na pawega wo najat hargiz agarche wo ilm hai kitabi

karim murshid ne chashm-e-baatin kiya nawazish 'alim' ke tain

wasa haqiqat ke ghan ka KHurshid gai nikal kar nazar sarabi

(751) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Piya Ke RuKH Ki Jhalak Ka Partaw Kiya Hai Jhalkar Aaftabi In English By Famous Poet Alimullah. Piya Ke RuKH Ki Jhalak Ka Partaw Kiya Hai Jhalkar Aaftabi is written by Alimullah. Read famous Poem Piya Ke RuKH Ki Jhalak Ka Partaw Kiya Hai Jhalkar Aaftabi for youth and Student by Alimullah. Free Download Piya Ke RuKH Ki Jhalak Ka Partaw Kiya Hai Jhalkar Aaftabi in PDF.