Rah Mein Haq Ke Azizan Aapko Qurban Karo

rah mein haq ke azizan aap ko qurban karo

ya nahin us par tasadduq apna jism-o-jaan karo

salikan kab lag chaloge rah mein haq ke mor chal

ishq ki tezi ko apne chheD kar jaulan karo

kan talak KHatir rakhoge aarzu mein tang kar

ghuncha-dil baad-e-saba sun ishq ke KHandan karo

aql-e-nafsani tuman mein burqa-e-haiwan hai

phaD kar parda nazar ka aap ko insan karo

KHana-e-dil ko rakho aabaad haq ki yaad sun

ishq ki aatish sun tan ko jal kar viran karo

toD kar tan ko karo barik parde ki misal

sham-e-nurani laga fanus-e-tan taban karo

dekhte raho roz-o-shab ankhiyan sun tum rab ka jamal

nain ki thaali mein is ko jyun durr-e-ghaltan karo

pherte raho did ka manka nazar ke tar mein

raat din ankhiyan ko apni is taraf gardan karo

(694) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rah Mein Haq Ke Azizan Aapko Qurban Karo In English By Famous Poet Alimullah. Rah Mein Haq Ke Azizan Aapko Qurban Karo is written by Alimullah. Read famous Poem Rah Mein Haq Ke Azizan Aapko Qurban Karo for youth and Student by Alimullah. Free Download Rah Mein Haq Ke Azizan Aapko Qurban Karo in PDF.