Hazar KHauf Ho Lekin Zaban Ho Dil Ki Rafiq

hazar KHauf ho lekin zaban ho dil ki rafiq

yahi raha hai azal se qalandaron ka tariq

hujum kyun hai ziyaada sharab-KHane mein

faqat ye baat ki pir-e-mughan hai mard-e-KHaliq

ilaj-e-zof-e-yaqin in se ho nahin sakta

gharib agarche hain 'raazi' ke nukta-ha-e-daqiq

murid-e-sada to ro ro ke ho gaya taib

KHuda kare ki mile shaiKH ko bhi ye taufiq

usi tilism-e-kuhan mein asir hai aadam

baghal mein us ki hain ab tak butan-e-ahd-e-atiq

mere liye to hai iqrar-e-bil-lisan bhi bahut

hazar shukr ki mulla hain sahib-e-tasdiq

agar ho ishq to hai kufr bhi musalmani

na ho to mard-e-musalman bhi kafir o zindiq

(2987) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hazar KHauf Ho Lekin Zaban Ho Dil Ki Rafiq In English By Famous Poet Allama Iqbal. Hazar KHauf Ho Lekin Zaban Ho Dil Ki Rafiq is written by Allama Iqbal. Read famous Poem Hazar KHauf Ho Lekin Zaban Ho Dil Ki Rafiq for youth and Student by Allama Iqbal. Free Download Hazar KHauf Ho Lekin Zaban Ho Dil Ki Rafiq in PDF.