Hua Na Zor Se Uske Koi Gareban Chaak

hua na zor se us ke koi gareban chaak

agarche maghribiyon ka junun bhi tha chaalak

mai-e-yaqin se zamir-e-hayat hai pur-soz

nasib-e-madrasa ya rab ye aab-e-atish-nak

uruj-e-adam-e-KHaki ke muntazir hain tamam

ye kahkashan ye sitare ye nil-gun aflak

yahi zamana-e-hazir ki kaenat hai kya

dimagh raushan o dil tera o nigah bebak

tu be-basar ho to ye mana-e-nigah bhi hai

wagarna aag hai momin jahan KHas o KHashak

zamana aql ko samjha hua hai mishal-e-rah

kise KHabar ki junun bhi hai sahib-e-idrak

jahan tamam hai miras mard-e-momin ki

mere kalam pe hujjat hai nukta-e-laulak

(1877) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hua Na Zor Se Uske Koi Gareban Chaak In English By Famous Poet Allama Iqbal. Hua Na Zor Se Uske Koi Gareban Chaak is written by Allama Iqbal. Read famous Poem Hua Na Zor Se Uske Koi Gareban Chaak for youth and Student by Allama Iqbal. Free Download Hua Na Zor Se Uske Koi Gareban Chaak in PDF.