Kabhi Ai Haqiqat-e-muntazar Nazar Aa Libas-e-majaz Mein

kabhi ai haqiqat-e-muntazar nazar aa libas-e-majaz mein

ki hazaron sajde taDap rahe hain meri jabin-e-niyaz mein

tarab-ashna-e-KHarosh ho to nawa hai mahram-e-gosh ho

wo sarod kya ki chhupa hua ho sukut-e-parda-e-saz mein

tu bacha bacha ke na rakh ise tera aaina hai wo aaina

ki shikasta ho to aziz-tar hai nigah-e-aina-saz mein

dam-e-tauf kirmak-e-shama ne ye kaha ki wo asar-e-kuhan

na teri hikayat-e-soz mein na meri hadis-e-gudaz mein

na kahin jahan mein aman mili jo aman mili to kahan mili

mere jurm-e-KHana-KHarab ko tere afw-e-banda-nawaz mein

na wo ishq mein rahin garmiyan na wo husn mein rahin shoKHiyan

na wo ghaznawi mein taDap rahi na wo KHam hai zulf-e-ayaz main

main jo sar-ba-sajda hua kabhi to zamin se aane lagi sada

tera dil to hai sanam-ashna tujhe kya milega namaz mein

(3700) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabhi Ai Haqiqat-e-muntazar Nazar Aa Libas-e-majaz Mein In English By Famous Poet Allama Iqbal. Kabhi Ai Haqiqat-e-muntazar Nazar Aa Libas-e-majaz Mein is written by Allama Iqbal. Read famous Poem Kabhi Ai Haqiqat-e-muntazar Nazar Aa Libas-e-majaz Mein for youth and Student by Allama Iqbal. Free Download Kabhi Ai Haqiqat-e-muntazar Nazar Aa Libas-e-majaz Mein in PDF.