Kamal-e-josh-e-junun Mein Raha Main Garm-e-tawaf

kamal-e-josh-e-junun mein raha main garm-e-tawaf

KHuda ka shukr salamat raha haram ka ghilaf

ye ittifaq mubarak ho mominon ke liye

ki yak zaban hain faqihan-e-sheher mere KHilaf

taDap raha hai falatun miyan-e-ghaib o huzur

azal se ahl-e-KHirad ka maqam hai aaraf

tere zamir pe jab tak na ho nuzul-e-kitab

girah-kusha hai na 'raazi' na sahib-e-kashshaf

surur o soz mein na-paedar hai warna

mai-e-farng ka tah-e-jura bhi nahin na-saf

(2691) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kamal-e-josh-e-junun Mein Raha Main Garm-e-tawaf In English By Famous Poet Allama Iqbal. Kamal-e-josh-e-junun Mein Raha Main Garm-e-tawaf is written by Allama Iqbal. Read famous Poem Kamal-e-josh-e-junun Mein Raha Main Garm-e-tawaf for youth and Student by Allama Iqbal. Free Download Kamal-e-josh-e-junun Mein Raha Main Garm-e-tawaf in PDF.