Karenge Ahl-e-nazar Taza Bastiyan Aabaad

karenge ahl-e-nazar taza bastiyan aabaad

meri nigah nahin su-e-kufa-o-baghdad

ye madrasa ye jawan ye surur o ranai

inhin ke dam se hai mai-KHana-e-farang aabaad

na falsafi se na mulla se hai gharaz mujh ko

ye dil ki maut wo andesha o nazar ka fasad

faqih-e-shahr ki tahqir kya majal meri

magar ye baat ki main DhunDta hun dil ki kushad

KHarid sakte hain duniya mein ishrat-e-parwez

KHuda ki den hai sarmaya-e-gham-e-farhad

kiye hain fash rumuz-e-qalandari main ne

ki fikr-e-madrasa-o-KHanqah ho aazad

rishi ke faqon se TuTa na barhaman ka tilism

asa na ho to kalimi hai kar-e-be-buniyaad

(2393) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Karenge Ahl-e-nazar Taza Bastiyan Aabaad In English By Famous Poet Allama Iqbal. Karenge Ahl-e-nazar Taza Bastiyan Aabaad is written by Allama Iqbal. Read famous Poem Karenge Ahl-e-nazar Taza Bastiyan Aabaad for youth and Student by Allama Iqbal. Free Download Karenge Ahl-e-nazar Taza Bastiyan Aabaad in PDF.