Kho Na Ja Is Sahar O Sham Mein Ai Sahib-e-hosh

kho na ja is sahar o sham mein ai sahib-e-hosh

ek jahan aur bhi hai jis mein na farda hai na dosh

kis ko malum hai hangama-e-farda ka maqam

masjid o maktab o mai-KHana hain muddat se KHamosh

main ne paya hai ise ashk-e-sahar-gahi mein

jis dur-e-nab se KHali hai sadaf ki aaghosh

nai tahzib takalluf ke siwa kuchh bhi nahin

chehra raushan ho to kya hajat-e-gulguna farosh

sahib-e-saz ko lazim hai ki ghafil na rahe

gahe gahe ghalat-ahang bhi hota hai sarosh

(3063) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kho Na Ja Is Sahar O Sham Mein Ai Sahib-e-hosh In English By Famous Poet Allama Iqbal. Kho Na Ja Is Sahar O Sham Mein Ai Sahib-e-hosh is written by Allama Iqbal. Read famous Poem Kho Na Ja Is Sahar O Sham Mein Ai Sahib-e-hosh for youth and Student by Allama Iqbal. Free Download Kho Na Ja Is Sahar O Sham Mein Ai Sahib-e-hosh in PDF.