KHudi Ho Ilm Se Mohkam To Ghairat-e-jibril

KHudi ho ilm se mohkam to ghairat-e-jibril

agar ho ishq se mohkam to sur-e-israfil

azab-e-danish-e-hazir se ba-KHabar hun main

ki main is aag mein Dala gaya hun misl-e-KHalil

fareb-KHurda-e-manzil hai karwan warna

ziyaada rahat-e-manzil se hai nashat-e-rahil

nazar nahin to mere halqa-e-suKHan mein na baiTh

ki nukta-ha-e-KHudi hain misal-e-tegh-e-asil

mujhe wo dars-e-farng aaj yaad aate hain

kahan huzur ki lazzat kahan hijab-e-dalil

andheri shab hai juda apne qafile se hai tu

tere liye hai mera shola-e-nawa qindil

gharib o sada o rangin hai dastan-e-haram

nihayat is ki husain ibtida hai ismail

(2753) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHudi Ho Ilm Se Mohkam To Ghairat-e-jibril In English By Famous Poet Allama Iqbal. KHudi Ho Ilm Se Mohkam To Ghairat-e-jibril is written by Allama Iqbal. Read famous Poem KHudi Ho Ilm Se Mohkam To Ghairat-e-jibril for youth and Student by Allama Iqbal. Free Download KHudi Ho Ilm Se Mohkam To Ghairat-e-jibril in PDF.