KHudi Ki ShoKHi O Tundi Mein Kibr-o-naz Nahin

KHudi ki shoKHi o tundi mein kibr-o-naz nahin

jo naz ho bhi to be-lazzat-e-niyaz nahin

nigah-e-ishq dil-e-zinda ki talash mein hai

shikar-e-murda saza-war-e-shahbaz nahin

meri nawa mein nahin hai ada-e-mahbubi

ki bang-e-sur-e-sarafil dil-nawaz nahin

sawal-e-mai na karun saqi-e-farang se main

ki ye tariqa-e-rindan-e-pak-baz nahin

hui na aam jahan mein kabhi hukumat-e-ishq

sabab ye hai ki mohabbat zamana-saz nahin

ek iztirab musalsal ghayab ho ki huzur

main KHud kahun to meri dastan daraaz nahin

agar ho zauq to KHalwat mein paDh zubur-e-ajam

fughan-e-nim-shabi be-nawa-e-raaz nahin

(1754) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHudi Ki ShoKHi O Tundi Mein Kibr-o-naz Nahin In English By Famous Poet Allama Iqbal. KHudi Ki ShoKHi O Tundi Mein Kibr-o-naz Nahin is written by Allama Iqbal. Read famous Poem KHudi Ki ShoKHi O Tundi Mein Kibr-o-naz Nahin for youth and Student by Allama Iqbal. Free Download KHudi Ki ShoKHi O Tundi Mein Kibr-o-naz Nahin in PDF.