Kushada Dast-e-karam Jab Wo Be-niyaz Kare

kushada dast-e-karam jab wo be-niyaz kare

niyaz-mand na kyun aajizi pe naz kare

biTha ke arsh pe rakkha hai tu ne ai waiz

KHuda wo kya hai jo bandon se ehtiraaz kare

meri nigah mein wo rind hi nahin saqi

jo hoshiyari o masti mein imtiyaz kare

mudam gosh-ba-dil rah ye saz hai aisa

jo ho shikasta to paida nawa-e-raaz kare

koi ye puchhe ki waiz ka kya bigaDta hai

jo be-amal pe bhi rahmat wo be-niyaz kare

suKHan mein soz ilahi kahan se aata hai

ye chiz wo hai ki patthar ko bhi gudaz kare

tamiz-e-lala-o-gul se hai nala-e-bulbul

jahan mein wa na koi chashm-e-imtiyaz kare

ghurur-e-zohd ne sikhla diya hai waiz ko

ki bandagan-e-KHuda par zaban daraaz kare

hawa ho aisi ki hindostan se ai 'iqbaal'

uDa ke mujh ko ghubar-e-rah-e-hijaz kare

(1818) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kushada Dast-e-karam Jab Wo Be-niyaz Kare In English By Famous Poet Allama Iqbal. Kushada Dast-e-karam Jab Wo Be-niyaz Kare is written by Allama Iqbal. Read famous Poem Kushada Dast-e-karam Jab Wo Be-niyaz Kare for youth and Student by Allama Iqbal. Free Download Kushada Dast-e-karam Jab Wo Be-niyaz Kare in PDF.