La Phir Ek Bar Wahi Baada O Jam Ai Saqi

la phir ek bar wahi baada o jam ai saqi

hath aa jae mujhe mera maqam ai saqi

tin sau sal se hain hind ke mai-KHane band

ab munasib hai tera faiz ho aam ai saqi

meri mina-e-ghazal mein thi zara si baqi

sheKH kahta hai ki hai ye bhi haram ai saqi

sher mardon se hua besha-e-tehqiq tahi

rah gae sufi o mulla ke ghulam ai saqi

ishq ki tegh-e-jigar-dar uDa li kis ne

ilm ke hath mein KHali hai niyam ai saqi

sina raushan ho to hai soz-e-suKHan ain-e-hayat

ho na raushan to suKHan marg-e-dawam ai saqi

tu meri raat ko mahtab se mahrum na rakh

tere paimane mein hai mah-e-tamam ai saqi

(2011) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

La Phir Ek Bar Wahi Baada O Jam Ai Saqi In English By Famous Poet Allama Iqbal. La Phir Ek Bar Wahi Baada O Jam Ai Saqi is written by Allama Iqbal. Read famous Poem La Phir Ek Bar Wahi Baada O Jam Ai Saqi for youth and Student by Allama Iqbal. Free Download La Phir Ek Bar Wahi Baada O Jam Ai Saqi in PDF.