Na Aate Hamein IsMein Takrar Kya Thi

na aate hamein is mein takrar kya thi

magar wada karte hue aar kya thi

tumhaare payami ne sab raaz khola

KHata is mein bande ki sarkar kya thi

bhari bazm mein apne aashiq ko taDa

teri aankh masti mein hoshyar kya thi

tammul to tha un ko aane mein qasid

magar ye bata tarz-e-inkar kya thi

khinche KHud-baKHud jaanib-e-tur musa

kashish teri ai shauq-e-didar kya thi

kahin zikr rahta hai 'iqbaal' tera

fusun tha koi teri guftar kya thi

(2537) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Aate Hamein IsMein Takrar Kya Thi In English By Famous Poet Allama Iqbal. Na Aate Hamein IsMein Takrar Kya Thi is written by Allama Iqbal. Read famous Poem Na Aate Hamein IsMein Takrar Kya Thi for youth and Student by Allama Iqbal. Free Download Na Aate Hamein IsMein Takrar Kya Thi in PDF.