Na Ho Tughyan-e-mushtaqi To Main Rahta Nahin Baqi

na ho tughyan-e-mushtaqi to main rahta nahin baqi

ki meri zindagi kya hai yahi tughyan-e-mushtaqi

mujhe fitrat nawa par pai-ba-pai majbur karti hai

abhi mahfil mein hai shayad koi dard-ashna baqi

wo aatish aaj bhi tera nasheman phunk sakti hai

talab sadiq na ho teri to phir kya shikwa-e-saqi

na kar afrang ka andaza us ki tabnaki se

ki bijli ke charaghon se hai is jauhar ki barraqi

dilon mein walwale aafaq-giri ke nahin uThte

nigahon mein agar paida na ho andaz-e-afaqi

KHizan mein bhi kab aa sakta tha main sayyaad ki zad mein

meri ghammaz thi shaKH-e-nasheman ki kam auraqi

ulaT jaengi tadbiren badal jaengi taqdiren

haqiqat hai nahin mere taKHayyul ki hai KHallaqi

(1961) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Ho Tughyan-e-mushtaqi To Main Rahta Nahin Baqi In English By Famous Poet Allama Iqbal. Na Ho Tughyan-e-mushtaqi To Main Rahta Nahin Baqi is written by Allama Iqbal. Read famous Poem Na Ho Tughyan-e-mushtaqi To Main Rahta Nahin Baqi for youth and Student by Allama Iqbal. Free Download Na Ho Tughyan-e-mushtaqi To Main Rahta Nahin Baqi in PDF.