Na TaKHt-o-taj Mein Ne Lashkar-o-sipah Mein Hai

na taKHt-o-taj mein ne lashkar-o-sipah mein hai

jo baat mard-e-qalandar ki bargah mein hai

sanam-kada hai jahan aur mard-e-haq hai KHalil

ye nukta wo hai ki poshida la-ilah mein hai

wahi jahan hai tera jis ko tu kare paida

ye sang-o-KHisht nahin jo teri nigah mein hai

mah o sitara se aage maqam hai jis ka

wo musht-e-KHak abhi aawargan-e-rah mein hai

KHabar mili hai KHudayan-e-bahr-o-bar se mujhe

farang rahguzar-e-sail-e-be-panah mein hai

talash us ki fazaon mein kar nasib apna

jahan-e-taza meri aah-e-subh-gah mein hai

mere kadu ko ghanimat samajh ki baada-e-nab

na madrase mein hai baqi na KHanqah mein hai

(4336) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na TaKHt-o-taj Mein Ne Lashkar-o-sipah Mein Hai In English By Famous Poet Allama Iqbal. Na TaKHt-o-taj Mein Ne Lashkar-o-sipah Mein Hai is written by Allama Iqbal. Read famous Poem Na TaKHt-o-taj Mein Ne Lashkar-o-sipah Mein Hai for youth and Student by Allama Iqbal. Free Download Na TaKHt-o-taj Mein Ne Lashkar-o-sipah Mein Hai in PDF.