Nala Hai Bulbul-e-shorida Tera KHam Abhi

nala hai bulbul-e-shorida tera KHam abhi

apne sine mein ise aur zara tham abhi

puKHta hoti hai agar maslahat-andesh ho aql

ishq ho maslahat-andesh to hai KHam abhi

be-KHatar kud paDa aatish-e-namrud mein ishq

aql hai mahw-e-tamasha-e-lab-e-baam abhi

ishq farmuda-e-qasid se subuk-gam-e-amal

aql samjhi hi nahin mani-e-paigham abhi

shewa-e-ishq hai aazadi o dahr-ashobi

tu hai zunnari-e-but-KHana-e-ayyam abhi

uzr-e-parhez pe kahta hai bigaD kar saqi

hai tere dil mein wahi kawish-e-anjam abhi

sai-e-paiham hai taraazu-e-kam-o-kaif-e-hayat

teri mizan hai shumar-e-sahar-o-sham abhi

abr-e-naisan ye tunuk-baKHshi-e-shabnam kab tak

mere kohsar ke lale hain tahi-jam abhi

baada-gardan-e-ajam wo arabi meri sharab

mere saghar se jhijakte hain mai-asham abhi

KHabar 'iqbaal' ki lai hai gulistan se nasim

nau-giraftar phaDakta hai tah-e-dam abhi

(2577) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nala Hai Bulbul-e-shorida Tera KHam Abhi In English By Famous Poet Allama Iqbal. Nala Hai Bulbul-e-shorida Tera KHam Abhi is written by Allama Iqbal. Read famous Poem Nala Hai Bulbul-e-shorida Tera KHam Abhi for youth and Student by Allama Iqbal. Free Download Nala Hai Bulbul-e-shorida Tera KHam Abhi in PDF.