Nigah-e-faqr Mein Shan-e-sikandari Kya Hai

nigah-e-faqr mein shan-e-sikandari kya hai

KHiraj ki jo gada ho wo qaisari kya hai

buton se tujh ko umiden KHuda se naumidi

mujhe bata to sahi aur kafiri kya hai

falak ne un ko ata ki hai KHwajgi ki jinhen

KHabar nahin rawish-e-banda-parwari kya hai

faqat nigah se hota hai faisla dil ka

na ho nigah mein shoKHi to dilbari kya hai

isi KHata se itab-e-muluk hai mujh par

ki jaanta hun maal-e-sikandari kya hai

kise nahin hai tamanna-e-sarwari lekin

KHudi ki maut ho jis mein wo sarwari kya hai

KHush aa gai hai jahan ko qalandari meri

wagarna sher mera kya hai shairi kya hai

(5624) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nigah-e-faqr Mein Shan-e-sikandari Kya Hai In English By Famous Poet Allama Iqbal. Nigah-e-faqr Mein Shan-e-sikandari Kya Hai is written by Allama Iqbal. Read famous Poem Nigah-e-faqr Mein Shan-e-sikandari Kya Hai for youth and Student by Allama Iqbal. Free Download Nigah-e-faqr Mein Shan-e-sikandari Kya Hai in PDF.