Pareshan Ho Ke Meri KHak AaKHir Dil Na Ban Jae

pareshan ho ke meri KHak aaKHir dil na ban jae

jo mushkil ab hai ya rab phir wahi mushkil na ban jae

na kar den mujh ko majbur-e-nawa firdaus mein huren

mera soz-e-darun phir garmi-e-mahfil na ban jae

kabhi chhoDi hui manzil bhi yaad aati hai rahi ko

khaTak si hai jo sine mein gham-e-manzil na ban jae

banaya ishq ne dariya-e-na-paida-karan mujh ko

ye meri KHud-nigah-dari mera sahil na ban jae

kahin is aalam-e-be-rang-o-bu mein bhi talab meri

wahi afsana-e-dumbaala-e-mahmil na ban jae

uruj-e-adam-e-KHaki se anjum sahme jate hain

ki ye TuTa hua tara mah-e-kaamil na ban jae

(2557) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pareshan Ho Ke Meri KHak AaKHir Dil Na Ban Jae In English By Famous Poet Allama Iqbal. Pareshan Ho Ke Meri KHak AaKHir Dil Na Ban Jae is written by Allama Iqbal. Read famous Poem Pareshan Ho Ke Meri KHak AaKHir Dil Na Ban Jae for youth and Student by Allama Iqbal. Free Download Pareshan Ho Ke Meri KHak AaKHir Dil Na Ban Jae in PDF.