SaKHtiyan Karta Hun Dil Par Ghair Se Ghafil Hun Main

saKHtiyan karta hun dil par ghair se ghafil hun main

hae kya achchhi kahi zalim hun main jahil hun main

main jabhi tak tha ki teri jalwa-pairai na thi

jo numud-e-haq se miT jata hai wo baatil hun main

ilm ke dariya se nikle ghota-zan gauhar-ba-dast

wae mahrumi KHazaf chain lab sahil hun main

hai meri zillat hi kuchh meri sharafat ki dalil

jis ki ghaflat ko malak rote hain wo ghafil hun main

bazm-e-hasti apni aaraish pe tu nazan na ho

tu to ek taswir hai mahfil ki aur mahfil hun main

DhunDhta phirta hun main 'iqbaal' apne-ap ko

aap hi goya musafir aap hi manzil hun main

(2525) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

SaKHtiyan Karta Hun Dil Par Ghair Se Ghafil Hun Main In English By Famous Poet Allama Iqbal. SaKHtiyan Karta Hun Dil Par Ghair Se Ghafil Hun Main is written by Allama Iqbal. Read famous Poem SaKHtiyan Karta Hun Dil Par Ghair Se Ghafil Hun Main for youth and Student by Allama Iqbal. Free Download SaKHtiyan Karta Hun Dil Par Ghair Se Ghafil Hun Main in PDF.