Sama Sakta Nahin Pahna-e-fitrat Mein Mera Sauda

sama sakta nahin pahna-e-fitrat mein mera sauda

ghalat tha ai junun shayad tera andaza-e-sahra

KHudi se is tilism-e-rang-o-bu ko toD sakte hain

yahi tauhid thi jis ko na tu samjha na main samjha

nigah paida kar ai ghafil tajalli ain-e-fitrat hai

ki apni mauj se begana rah sakta nahin dariya

raqabat ilm o irfan mein ghalat-bini hai mimbar ki

ki wo hallaj ki suli ko samjha hai raqib apna

KHuda ke pak bandon ko hukumat mein ghulami mein

zirah koi agar mahfuz rakhti hai to istighna

na kar taqlid ai jibril mere jazb-o-masti ki

tan-asan arshiyon ko zikr o tasbih o tawaf aula

bahut dekhe hain main ne mashriq o maghrib ke mai-KHane

yahan saqi nahin paida wahan be-zauq hai sahba

na iran mein rahe baqi na turan mein rahe baqi

wo bande faqr tha jin ka halak-e-qaisar-o-kisra

yahi shaiKH-e-haram hai jo chura kar bech khata hai

galim-e-buzar o dalq-e-uwes o chadar-e-zahra

huzur-e-haq mein israfil ne meri shikayat ki

ye banda waqt se pahle qayamat kar na de barpa

nida aai ki aashob-e-qayamat se ye kya kam hai

' girafta chiniyan ehram o makki KHufta dar batha

labaalab shisha-e-tahzib-e-hazir hai mai-e-la se

magar saqi ke hathon mein nahin paimana-e-illa

daba rakkha hai is ko zaKHma-war ki tez-dasti ne

bahut niche suron mein hai abhi europe ka wawaila

isi dariya se uThti hai wo mauj-e-tund-e-jaulan bhi

nahangon ke nasheman jis se hote hain tah-o-baala

ghulami kya hai zauq-e-husn-o-zebai se mahrumi

jise zeba kahen aazad bande hai wahi zeba

bharosa kar nahin sakte ghulamon ki basirat par

ki duniya mein faqat mardan-e-hur ki aankh hai bina

wahi hai sahib-e-imroz jis ne apni himmat se

zamane ke samundar se nikala gauhar-e-farda

farangi shishagar ke fan se patthar ho gae pani

meri iksir ne shishe ko baKHshi saKHti-e-KHara

rahe hain aur hain firaun meri ghat mein ab tak

magar kya gham ki meri aastin mein hai yad-e-baiza

wo chingari KHas-o-KHashak se kis tarah dab jae

jise haq ne kiya ho nistan ke waste paida

mohabbat KHeshtan bini mohabbat KHeshtan dari

mohabbat aastan-e-qaisar-o-kisra se be-parwa

ajab kya gar mah o parwin mere naKHchir ho jaen

ki bar fitrak-e-sahib daulat-e-bastam sar-e-KHud ra

wo dana-e-subul KHatmur-rusul maula-e-kul jis ne

ghubar-e-rah ko baKHsha farogh-e-wadi-e-sina

nigah-e-ishq o masti mein wahi awwal wahi aaKHir

wahi quran wahi furqan wahi yasin wahi taha

'sanai' ke adab se main ne ghawwasi na ki warna

abhi is bahr mein baqi hain lakhon lulu-e-lala

(3082) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sama Sakta Nahin Pahna-e-fitrat Mein Mera Sauda In English By Famous Poet Allama Iqbal. Sama Sakta Nahin Pahna-e-fitrat Mein Mera Sauda is written by Allama Iqbal. Read famous Poem Sama Sakta Nahin Pahna-e-fitrat Mein Mera Sauda for youth and Student by Allama Iqbal. Free Download Sama Sakta Nahin Pahna-e-fitrat Mein Mera Sauda in PDF.