Ye Kaun Ghazal-KHwan Hai Pur-soz O Nashat-angez

ye kaun ghazal-KHwan hai pur-soz o nashat-angez

andesha-e-dana ko karta hai junun-amez

go faqr bhi rakhta hai andaz-e-mulukana

na-puKHta hai parwezi be-saltanat-e-parwez

ab hujra-e-sufi mein wo faqr nahin baqi

KHun-e-dil-e-sheran ho jis faqr ki dastawez

ai halqa-e-darweshan wo mard-e-KHuda kaisa

ho jis ke gareban mein hangama-e-rusta-KHez

jo zikr ki garmi se shole ki tarah raushan

jo fikr ki surat mein bijli se ziyaada tez

karti hai mulukiyat aasar-e-junun paida

allah ke nishtar hain taimur ho ya changez

yun dad-e-suKHan mujh ko dete hain iraq o paras

ye kafir-e-hindi hai be-tegh-o-sinan KHun-rez

(2264) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Kaun Ghazal-KHwan Hai Pur-soz O Nashat-angez In English By Famous Poet Allama Iqbal. Ye Kaun Ghazal-KHwan Hai Pur-soz O Nashat-angez is written by Allama Iqbal. Read famous Poem Ye Kaun Ghazal-KHwan Hai Pur-soz O Nashat-angez for youth and Student by Allama Iqbal. Free Download Ye Kaun Ghazal-KHwan Hai Pur-soz O Nashat-angez in PDF.