Yun Hath Nahin Aata Wo Gauhar-e-yak-dana

yun hath nahin aata wo gauhar-e-yak-dana

yak-rangi o aazadi ai himmat-e-mardana

ya sanjar o tughral ka aain-e-jahangiri

ya mard-e-qalandar ke andaz-e-mulukana

ya hairat-e-'farabi' ya tab-o-tab-e-'rumi'

ya fikr-e-hakimana ya jazb-e-kalimana

ya aql ki rubahi ya ishq-e-yadul-lahi

ya hila-e-afrangi ya hamla-e-turkana

ya shar-e-musalmani ya dair ki darbani

ya nara-e-mastana kaba ho ki but-KHana

meri mein faqiri mein shahi mein ghulami mein

kuchh kaam nahin banta be-jurat-e-rindana

(3184) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yun Hath Nahin Aata Wo Gauhar-e-yak-dana In English By Famous Poet Allama Iqbal. Yun Hath Nahin Aata Wo Gauhar-e-yak-dana is written by Allama Iqbal. Read famous Poem Yun Hath Nahin Aata Wo Gauhar-e-yak-dana for youth and Student by Allama Iqbal. Free Download Yun Hath Nahin Aata Wo Gauhar-e-yak-dana in PDF.