Kya Ishq Ek Zindagi-e-mustaar Ka

kya ishq ek zindagi-e-mustaar ka

kya ishq paedar se na-paedar ka

wo ishq jis ki shama bujha de ajal ki phunk

us mein maza nahin tapish o intizar ka

meri bisat kya hai tab-o-tab-e-yak-nafas

shoala se be-mahal hai ulajhna sharar ka

kar pahle mujh ko zindagi-e-jawedan ata

phir zauq o shauq dekh dil-e-be-qarar ka

kanTa wo de ki jis ki khaTak la-zawal ho

ya-rab wo dard jis ki kasak la-zawal ho

(2050) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kya Ishq Ek Zindagi-e-mustaar Ka In English By Famous Poet Allama Iqbal. Kya Ishq Ek Zindagi-e-mustaar Ka is written by Allama Iqbal. Read famous Poem Kya Ishq Ek Zindagi-e-mustaar Ka for youth and Student by Allama Iqbal. Free Download Kya Ishq Ek Zindagi-e-mustaar Ka in PDF.