Ek PahaD Aur Gilahri

koi pahaD ye kahta tha ek gilahri se

tujhe ho sharm to pani mein ja ke Dub mare

zara si chiz hai is par ghurur! kya kahna!

ye aql aur ye samajh ye shuur! kya kahna!

KHuda ki shan hai na-chiz! chiz ban baiThen!

jo be-shuur hon yun ba-tamiz ban baiThen!

teri bisat hai kya meri shan ke aage

zamin hai past meri aan-ban ke aage

jo baat mujh mein hai tujh ko wo hai nasib kahan

bhala pahaD kahan jaanwar gharib kahan!

kaha ye sun ke gilahri ne munh sambhaal zara

ye kachchi baaten hain dil se inhen nikal zara!

jo main baDi nahin teri tarah to kya parwa!

nahin hai tu bhi to aaKHir meri tarah chhoTa

har ek chiz se paida KHuda ki qudarat hai

koi baDa koi chhoTa ye us ki hikmat hai

baDa jahan mein tujh ko bana diya us ne

mujhe daraKHt pe chaDhna sikha diya us ne

qadam uThane ki taqat nahin zara tujh mein

niri baDai hai! KHubi hai aur kya tujh mein

jo tu baDa hai to mujh sa hunar dikha mujh ko

ye chhaaliya hi zara toD kar dikha mujh ko

nahin hai chiz nikammi koi zamane mein

koi bura nahin qudarat ke kar-KHane mein

(6321) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek PahaD Aur Gilahri In English By Famous Poet Allama Iqbal. Ek PahaD Aur Gilahri is written by Allama Iqbal. Read famous Poem Ek PahaD Aur Gilahri for youth and Student by Allama Iqbal. Free Download Ek PahaD Aur Gilahri in PDF.