Phul Se ZaKHmon Ka Ambar Sambhaale Hue Hain

phul se zaKHmon ka ambar sambhaale hue hain

gham ki punji mere ashaar sambhaale hue hain

hum se puchho na shab-o-roz ka aalam socho

kaise dhaDkan ki ye raftar sambhaale hue hain

ghar bhi bazar ki manind rakhe hain apne

wo jo bazar ka meayar sambhaale hue hain

ek nowel hain kabhi paDh tu hamein fursat mein

tan-e-tanha kai kirdar sambhaale hue hain

hum mohabbat ke tale kanp rahe hain aise

jaise darki hui diwar sambhaale hue hain

zaKHm le kar ye sabhi apne main jata bhi kahan

yun bhi ijlas gunahgar sambhaale hue hain

(776) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phul Se ZaKHmon Ka Ambar Sambhaale Hue Hain In English By Famous Poet Alok Mishra. Phul Se ZaKHmon Ka Ambar Sambhaale Hue Hain is written by Alok Mishra. Read famous Poem Phul Se ZaKHmon Ka Ambar Sambhaale Hue Hain for youth and Student by Alok Mishra. Free Download Phul Se ZaKHmon Ka Ambar Sambhaale Hue Hain in PDF.